Send ghazal sms


Advertisements


ghazal sms

Welcome to the largest collection of ghazal sms. You can send these ghazal sms to Pakistan Send these mobile ghazal sms message to your friends and enjoy.

Saadgi Mein Bhi, Kamaal Lagte Ho..

ghazal sms

Saadgi Mein Bhi, Kamaal Lagte Ho,
Tum Mera Kitna, Khayaal Rakhte Ho,

Laboon Par Aik Hi, Sawaal Hai Zaahir,
Kaho Na Hum Se, Kitna Pyaar Karte Ho,

Tumhaare Bin Zindagi To, Zindagi Hi Nahi,
Dil Mein Jagah Itni, Khaas Rakhte Ho,

Lagta Nahi Ye Dil, Ab Tum Bin,
Jaana Qayamat Si, Misaal Rakhte Ho…



Naam le le kar naa mera shehar ki nazroon main aa

ghazal sms

Naam le le kar naa mera shehar ki nazroon main aa
Mujh se milna hai to mere dil ke sehraao main aa

Iss safar main daikh ghull jata hai miti ka badan
Mujh se milne ki naa khuwahish kar naa barsaatoon main aa

Loog tujh ko gungunaain meri khuwahish ki tarha
Aik achoote shair ki surat meri ghazloon main aa

Be hunar logoon ne phir maanga mere fun ka saboot
Aa meri sachaai ki khushboo meri lafzoon main aa

Ghar ke darwaze pe aakar kyun qadam rukne lage
Aa meri tanhaai, meri muntazir bahoon main aa



Tumhari Raah Hamari Raah

ghazal sms

Alag kab thhe ik manzil saiy tumhari rah humari rah
Juri thhe aik bundhan saiy tumhari rah humari rah

Na phoolon main na khushboo main na moasum main talatum thha
Ajab bay khoaf lagti thhe tumhari rah humari rah

Chalay jana sunatay geet humara dooor tak aksar
Humain mudhoosh rakhti thhe tumhari rah humari rah

Chamman main koch nehi badla siwae hum nasheenoN k
Wohi hain hum juda hay ab tumhari rah humari rah

Humari zeest k badmast lumhon main wo ik lumha
Bana de jis nay baimaqsad tumhari rah humari rah

Chalo inkaar kartay hain mohobat k asooloN saiy
Ore ab dooor saiy daikhain tumhari rah humari rah

Mujhay ab sath laikar tum chalo shaukat onn ruston pay
Jahan main daikh sakoon her dum tumhari rah humari rah

by Shaukat Ali Khan

(Madhosh:Not in Senses)(Chamman:Land)



Sadiyon se insaan yeh sunta aya hai

ghazal sms

Sadiyon se insaan yeh sunta aya hai,
Dukh ki dhoop ke agey sukh ka saya hai,

Hum ko in sasti khushiyon ka bhoj na do,
Hum ne soch samajh ke gham apnaya hai,

Jhoot to kaatil thehra, is ka kya rona,
Sach ne bhi insaan ka khoon bahaya hai,

Pedaayesh ke din se maut ki zadd mein hain,
Iss maktal mein kon humain le aya hai,

Awal awal jis dil ne barbaad kiya,
Aakhir aakhir woh dil hi kaam aya hai,

Itne din ehsaan kiya deewanon per,
Jitne din logon ne sath nibhaya hai…



Zamana dost ho jaye to tum mohtaat ho jana

ghazal sms

Zamana dost ho jaye to tum mohtat ho jana
Kisi k rang badalnay main zara si deer lagti hay

Koi jo khwab dekho to usay foran bhula dena
Keh neendain toot janay main zara si deer lagti hay

Kisi ko dukh kabhi dena to itna soch ker dena
Kisi ki aah lagnay main zara si deer lagti hay

Bahut hi moutabar hain jin ko muhabat raas aa jaye
Kisi ko raah badalnay main zara si deer lagti hay

(Mohtaat:Careful)(Moutabar:Respectable)



Phir ajnabi fizaon se jorra gaya mujhe

ghazal sms

Phir ajnabi fizaon se jorra gaya mujhe,
Mein phool thi so shaakh se torra gaya mujhe,

Khushbu ki tarah jeena bhi asaan to na tha,
Phool se katra katra Nichorra gaya mujhe,

Mitti ke bartanon ki tarah sari zindagi,
Tora gaya mujhe, kabhi jorra gaya mujhe,

Hathon mein somp di mere kaghaz ki aik nao,
Darya ke tez dharey pe chora gaya mujhe…



Mera Pyar Dekhna

ghazal sms

Ab kar k kisi ore ka intezar daikhna
Apnay humaray darmiyan deewar daikhna

Thhokra k aap nay humain achha sila diya
Hum thhay k hum nay chaha so bar daikhna

Lehra diye aap nay parday fizaon main
Dushwar kar diya husn-e-yar daikhna

Milnay ke aap ko kabhi fursat nehi mili
Hum thhak gaeiy simt coo-e-yar daikhna

Janay kahan say aap nay seekhien adawatain
Mushkil nehi thha warna ik bar daikhna

Maeyeser kabhi jo aap ko aaiyen mohobatain
Palaray main rakh k aap mera payar daikhna

Kyun aap ko haasil howa zulmaton ka haq
Kis nay diya aap ko ekhteyaar daikhna

Kaisay bhoolayien gaiy unhain shaukat khaber nehi
Apnay jigar ke taqat-e-izhaar daikhna

(Palaray:one side of weighing machine)(Maeyeser:Available)(Dushwar:Difficult)

by Shaukat Ali Khan



Har taraf har jagah beshumar aadmi

ghazal sms

Har taraf har jagah beshumar aadmi
Phir bhi tanhaiyon ka shikaar aadmi

Subah se shaam tak bojh dhota hua
Apni hi laash ka khud mazaar aadmi

Har taraf bhaagte daudhte raaste
Har taraf aadmi ka shikaar aadmi

Roz jeeta hua roz marta hua
Har naye din naya intezar aadmi

Zindagi ka mukkaddar safar dar safar
Aakhri saans tak bekaraar aadmi



Dukh Dard Ki Soghaat Hai Duniya Teri Kya hai

ghazal sms

Dukh Dard Ki Soghaat Hai Duniya Teri Kya hai
Ashkon Bhari Barsaat Hai Duniya Teri Kya hai

Kuch log Yahan Noor-e-Seher Dhoond Rahe Hain
Tareek Si Eik Raat Hai Duniya Teri Kya hai

Taqdir Key Chehrey Ki Shikan Dekh Raha Hon
Aayiena e Halaat Hai Dunya Teri Kya hai

Paband e Mashiyet Hai Tanafas Bhi Nazar Bhi
Eik Juzia-e-Lamhaat Hai Duniya Teri Kya hai

Majrooh Hai Taqadas , Taqadas Ki Haqiqat
Roodaad e Kharabaat Hai Duniya Teri Kya hai

“Saghar” Mein Chalaktey Hain Samavaat Key Asraar
Saaqi Ki Karamaat Hai Duniya Teri Kya hai



Ek baar to milne chaly aao December jany wala hy

ghazal sms

Ek baar to milne chaly aao December jany wala hy
Kesa guzra hy ye sal batao December jany wala hy

Khush ho jao k milne ka saal aa raha hy phir
Wasi youn na ansu bahao December jany wala hy

Shahid ab k baras bhi wo Loat kar na aye
Tanhaiyo k abi chor k na jao December jany wala hy

Ye kia k raat din uski yaad mein doobay rehna
Na Gham ki barish me nahao December jany wala hy

Ay mere Dukhon k sathiyo khush ho jao
Apny apny Gharon ko sajao December jany wala hy

Kia pata phir DECEMBER aye na aye Jan-e-Wasi
Meri mano ab tm loat ao December jany wala hy


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more ghazal sms.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari