Send ghazal sms


Advertisements


ghazal sms

Welcome to the largest collection of ghazal sms. You can send these ghazal sms to Pakistan Send these mobile ghazal sms message to your friends and enjoy.

Woh lamha bhi bhaari tha, Yeh lamha bhi bhaari hai

ghazal sms

Woh lamha bhi bhaari tha, Yeh lamha bhi bhaari hai,
Us ishq mein khuwari thi, Is ishq mein khuwari hai,

Us ne tou bhulaya tha, Hum ne bhi bhula daala,
Woh zakhm bhi kaari tha, yeh zakhm bhi kaari hai,

Tab ishq mein rotey they, Ab ishq pe hanstey hain,
Kya kaar-guzari thi, Kya kaar-guzari hai,

Ik rakss mein thi dunya, Ik rakss mein hai dunya,
Paisa hi madaari tha, paisa hi madaari hai,

Kaisa hai Tagh-yur hai, Kuch fark nahin jis mein,
Ik shakhss ki baari thi, Ik shakhs ki baari hai,

Ik ‘Saad’ ghazal kehna, ik kurb mein hai rehna,
Ik zulf sanwaari thi, Ik zulf sanwaari hai…

(Bhaari:Difficult,Tough times to spend)(Kaar-guzari:Act)(Kurb:Be with)(Tagh-yur:Thought)



Dil-e-Wehshi Ki Yeh Hasrat Bhi Nikali Jaye

ghazal sms

Dil-e-Wehshi Ki Yeh Hasrat Bhi Nikali Jaye,
Chaandni Jitni Bhi Mumkin Ho Chura Li Jaye,

Yeh Samundar Bhi To Paani Ke Siwa Kuch B Nahin,
Is Ke Seene Se Agar Leher Utha Li Jaye,

Ishq To Naam Hy Aadaab-e-Pazeerai Ka,
Husn Ke Saamne Bas Aankh Jhuka Li Jaye,

Hum Samjhte Hain Muhabbat Ke Taqazay Lekin,
Kaise Us Dar Pe Koi Ban K Sawali Jay,

Yaad Karte Hain Usy Hum To Yeh Majboori Hai,
Habs Mein kyun Na Zara Taaza Hawa Li Jaye.



Zara si der ko aaye the khawb aankhon mei

ghazal sms

Zara si der ko aaye the khaawb aaNkhoN mei
Phir us ke bad musalsal azaab aaNkhoN mei

Wo jis ke nam ki nisbat se raushani tha wujood
Khattak rahaa hai wohi aaftaab aaNkhoN mei

Jinhen mata-E-dil-O-jaN samajh rahe the ham
Wo aa’iine bhi hue behijaab aaNkhoN mei

Ajab tarah ka hai mausam K khak uRti hai
Wo din bhi the k khile the gulaab aaNkhoN mei

Mere Ghazaal teri wahshaton ki khair, K hai
Bahut dinoN se bahut iztaraab aaNkhoN mei

Na jane kaisi qayaamat ka peshkhema hai
Ye uljhaneN teri be-intasaab aaNkhoN mei



Basti mein hai wo sannata k jangal maat lagy

ghazal sms

Basti mein hai wo sannata k jangal maat lagy..
Shaam dhaly bhi ghar pohanchon to aadhi raat lagy..

Khat mein dil ki batein likhna achi baat nahi,
Ghar mein itnay log hein jaany kis k haath lagy…

Un sy bichray dil ko ujray barson beet gaye,
Aankhon ka ye hal abhi tak kal ki baat lagy…

Mutthi band kiye baitha hon k koi daikh naa ly,
K chaand pakarny ghar sy nikla “jugnoo” haath lagy…!!!



Yahan Lehroon Nay Saahil Say Judda Hona Hi Tha

ghazal sms

Yahan Lehroon Nay Saahil Say Judda Hona Hi Tha
Jis Tarhan Hum Nay Chaha Us Tarhan Hona Hi Tha

Raiza Raiza Ho Kar Beekhra Fizzaon Main Baddan
Chaandni Ki Chaah Main Yeh Haadsa Hona Hi Tha

Hadoon Say Ghuzar Kar Hum Nay Pooja Tha Jinhain
Un Haseen Logon Nay Aakhir Dewata Hona Hi Tha

Ummar Bhar Dil Shaad Rehta Tark-E-Ulfat Pay Mera
Ek Baar Tu Woh Poochta Agar Bewafa Hona Hi Tha

Hain Mundaamil Ab Chahatoon K Woh Zakham
Jal K Dil Ki Raakh Nay Aakhir Dawa Hona Hi Tha



Zinda rahen to kya hai jo mar jayen ham to kya

ghazal sms

zinda rahen to kya hai jo mar jayen ham to kya
duniya main khamoshi se guzar jayen ham to kya

hasti hi apni kya hai zamane k samne
ek khwab hain jahan main bikhar jayen ham to kya

ab kaun muntazir hai hamare liye wahan
sham a gai hai laut k ghar jayen ham to kya

dil ki khalish to sath rahegi tamam umr
dariya-e-gam k par utar jayen ham to kya



Tera Chehra, Teri Aankhen, Tere Lab Yaad Aaye

ghazal sms

Kiya Khazaane Meri Jaan, Hijar Ki Shab Yaad Aaye
Tera Chehra, Teri Aankhen, Tere Lab Yaad Aaye,

Ek Tu Tha Jise Gurbat Mein Pukaara Dil Ne
Warna Bechre Howe Ahbaab To Sab Yaad Aaye,

Hum Ne Maazi Ki Sakhawat Pe Jo Pal Bhar Socha
Dukh Bhi Kiya Kiya Humen Yaaron K Sabab Yaad Aaye,

Phool Khilne Ka Jo Mosam Mere Dil Mein Utraa
Tere Bkhashe Howe Kuch Zakham Ajab Yaad Aaye,

Bhool Jaane Mein Woh Zalim Hai Balaa Ka Maher
Yaad Aane Pe Bhi Aay To Ghazab Yaad Aaye….!



Hum ne suna hai rahta hai ab bekraar woh

ghazal sms

Hum ne suna hai rahta hai ab bekraar woh
Chup ke kisi ka karata hai roz intezaar woh

Gesu sanwaarta hain na hataun mein hain hina
Aaina dekhtaa bhi nahi baar baar woh

Ek kuj adayee uss mein thi aur hum bhi beniyaz
Pachtawa hum ko hota hai aur sharmsaar woh

Kamzoor chahe jitni ho samme wafa magar
Tanhaa hawa se ladti hai dewana war woh



Khayal Rakhna

ghazal sms

Tum apni aankhon main ghum k budlay shararton ko saja k rakhna
Kabhi jo aansoo nikal parain tau anna ke khhatir chhupa k rakhna

Na dil dukhana kabhi tum apna udaas raaton ke chaandni saiy
Sambhal rakhna tum apni saansain udasiyun ko mita k rakhna

Kehin ye furqat ke seeyah raatain tumharay ghar main na phail jaaien
Jo bujh gaaiy hain charagh saray unhi ko phir saiy jala k rakhna

Na apnay aanchal k sub rungoan ko safaid karna seeyah karna
Abhi tau jeewan ke rut jawan hay osi ko dil main basa k rakhna

Ajab nehi hay jo kal na budlay isi jahan main naseeb tera
Khushi k lumhon ke ass rakhna khushi saiy chehra saja k rakhna

Jahan main phirtay hain hum akailay tumhi naiy khoya nehi kisi ko
Tum apni halat ka khayal rakhna ore gaisoowon ko bana k rakhna

Na aana baaton main dushmano ke jo hogaya hay wo hogaya hay
Bas sooch apni blund rakhna nigahain apni jhoka k rakhna

Abhi saiy shaukat chhalak raha hay ghumon saiy paimana kyun tumhara
Wo teri soochon main gar hay shamil tujhay hay oska khayal rakhna

By Shaukat Ali Khan



Kitna Pakiza Hay Ehsaas

ghazal sms

Eik Masoom Takaddus Me Bhigoya Huwa Lams,
Kitna Pakiza Hay Ehsas Me Dhoya Huwa Lams.

Ye Tere Jism Ki Khushbu Ka Sonehra Ehsas,
Jis Terha Chand K Haaley Me Paroya Huwa Lams.

Us K Hontoon Ko Me Chhu Loon To Gumaan Hota Hay,
Jese Jannat K Gulaboon Me Daboya Huwa Lams.

Jo Meri Rooh Me Utrey He Chale Jaate Ho,
Ik Nae Rang Me Ubhrey Ga Ye Boya Huwa Lams.

Bhegi Khusbo Mae Basa, Wasl Me Bhega Bhega,
Kitna Masoom Hay Pehlo Me Ye Soya Huwa Lams.

Tishnagi Aan Basi Hay Meri Pooroon Me WASI,
Dhondta Phirta Hun Muddat Se Main Khoya Huwa Lams


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more ghazal sms.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari