Send ghazal sms


Advertisements


ghazal sms

Welcome to the largest collection of ghazal sms. You can send these ghazal sms to Pakistan Send these mobile ghazal sms message to your friends and enjoy.

Chahne Ko Jee Chahta Hai

ghazal sms

Bus Ab Tujhe Hi Chahne Ko Jee Chahta Hai,
Teri Yaado Me Kho Jaane Ko Jee Chahta Hai,
Laga Di H Tumne Aisi Ishq Ki Aag,
K Usi Me Jal Jaane Ko Jee Chahta Hai,
Koi Bhi Kaam Me Ab Dil Lagta Nahi,
Bus Subah Shaam Tumhara Hi Intezaar Karne Ko Jee Chahta Hai,
Honge Na Hum Kabhi Tujh Se Juda,
Ab To Ye Kasam Khaane Ko Jee Chahta Hai…



Wo Pani Ki Lehron Pe Kya Likh Raha Tha

ghazal sms

Wo Pani Ki Lehron Pe Kya Likh Raha Tha..
Khuda Jane Hurf-e-Dua Likh Raha Tha..

Likhe The Jisne Wafa Ke Maane Aadhure..
Woh Shakhs Pyar Ki Inteha Likh Raha Tha..

Zara Uski Aankh Se Aanso Na Nikle..
Woh Shakhs Jab Zindagi Ko Saza Likh Raha Tha..

Mohabbat Mein Nafrat Mili Thi Usse Bhi..
Woh Har Shakhs Ko Bewafa Likh Raha Tha..



Shama jala kar jeetey

ghazal sms

Jo daagh dil paiy lagay onn ko mita kar jeetay
Kaisay hum onn ke jafaon ko bhola kar jeetay

Baat karnay k leye kis ka waseela chahtay
Ya tau pathar ka koe bott he bana kar jeetay

Na andhaira na swaira na kiran ke koe umeed
Aisi halat main kahan khud ko jaga kar jeetay

Jaanay wala koe sobha ka bhoola na thha
Warna darwazaiy paiy shama jala kar jeetay

Rung pheekay thhay chaman main bhe gulon k warna
Aashiyaan shaakh-e-gulistan paiy bana kar jeetay

Na koe hud haiy ulfat mai azaadari kee
Na he laazim thha k hum ansoo baha kar jeetay

Zindagi bhe tau badalti haiy thikaanay shaukat
Warna momkin thha galay isko laga kar jeetay

by Shaukat Ali Khan



Pas-e-Parda Koi Na Tha Phir Bhi

ghazal sms

Pas-e-Parda Koi Na Tha Phir Bhi
Ek Parda Khicha Raha Mujh Mein,

Mujh Mein Aa Kay Gira Tha Ek Zakhmi
Jaane Kab Tak Para Raha Mujh Mein,

Itna Khaali Tha Androon Mera
Kuch Dino To Khuda Raha Mujh Mein……….!



Kabhi Na Hathon Se Hath Choote KhayaL Rakhna

ghazal sms

Kbhi Na Hathon Se Hath Choote KhayaL Rakhna!
Kabhi Na Chahat Ka Maan Toote KhayaL Rakhna!

BachAa K Rakhna Mohabat Ko Sazishon Se!
Wafa Ki DoLat Jafa Na Loote KhayaL Rakhna!

Jo Ho Mohabat To ranjishon Se Guraez Karna!
Kisi Ka Nazuk Sa DiL Na Toote KhayaL Rakhna.



Aitbaar e Waqt Pe Be-Ikhtiyaar Ho Ke Roo Pare

ghazal sms

Aitbaar e Waqt Pe Be-Ikhtiyaar Ho Ke Roo Pare,
Kho Kar Kabhi Usse Toh Kabhi Pa Ke Roo Pare.

Khushiyan Hamarey Paas Kahan Mustaqil Rahein,
Bahir Kabhi Hansey Toh Ghar Aa Ke Roo Pare.

Gila Nahi Kisi Se Sab Ilzaam Apne Sir Ke Hai,
Uss Ke Dard Main Qaid Thai Magar Azad Ho Ke Roo Pare,

Humara Bhi Ajeeb Haal Hai Kisi Haal Main Khush Nahi, “Mohsin”!
Dukh Hi Itne Miley Ki Sukh Pa Ke Roo Pare.



Mere Zarf ke Mutabiq Zara Bijlian Girana

ghazal sms

Mere Zarf k Mutabiq Zara Bijlian Girana
Jitni Ho Taab Mujh Mein utna Naqab Utthana

Tujhe chahne Se Pehly Kon Janta Tha mujh ko
Tere Ishaq Ne Bnai Meri Zindagi Fsana

Mujhy Ghamm Nahi Hai K Badal Geya Zmana
Meri Zindagi Tumhi Ho Kahin tum Badal Na Jana

Tu Jala Sake to Jala dy Tujhe Intzar Kia hai
Tere Pass Bijlian Hain Mere Pass Aashyana

Mere Sath Chalny Wali Teri Justaju K Sadqy
Bari Sakht Manzilen hain Kahin Thakk K Ruk na jana.



Kahaan Tha Itna Azaab Ashna Maira Chehra

ghazal sms

Kahaan Tha Itna Azaab Ashna Maira Chehra
Jallay Chiraagh tu Bujhnay Laga, Maira Chehra
Woh Tairay Hijar Kay Din woh Safeer Sadiyon Kay
Tu Un Dinoon mein Kabhi Daikhta Maira Chehra
Judaiyoon Kay Safar Mein Rahay Hain Saath
SadaTairi Talaash,Zamanay, Hawa, Maira Chehra
Mairay Siwa Koi Itna udaas Bhi Tu Na Tha
Khizaan Kay Chand Ko Achaa Laga Maira Chehra
Kitaab Khool Raha Tha Woh Apnay Maazi Ke
Warq Warq Pay Bikharta Gaya Maira Chehra
Sehar Kay Noor Say Dhulti Hoe Tairi Ankhain
Safar Ke Gard Mein Lipta Howa Maira Chehra
Hawa Ka Akhri Boosa Tha Ya Qayamat Thi ?
Badan Ke Shaakh Say Phir Gir Para Maira Chehra
Jissay Bujha Kay Hawa Soogwar Phirti Hai
Woh Shama e Shaam e Safar Thi Keh Maira Chehra
Yeah Loug Kiyon Mujhay Pehchantay Nahi “Mohsin”
Mein Sochta Hoon Kahaan Reh Gaya Maira Chehra ?



Kuch apne lub o lehje ko tabdeel wo karta

ghazal sms

Kuch apne lub o lehje ko tabdeel wo karta
Phir hum se bayan ranj ki tafseel wo karta

Yak tarfa takazay to nibae nhai jate
Kuch apne faraaiz ki bhi tameel wo karta,

Ilzamm lagata wo bare sho se par,
Kch apne kiye wadoon ki takmeel wo karta,

Kuch us ko bi ehsas to hota tanhai ka,
Kuch khuwab mere khud me tabdeel wo karta..



Is Qadar Badla Zamana, Log Shashdar Reh Gaye

ghazal sms

Dour-e-Gul Rukhsat Hua, Hathon Me Pathar Reh Gaye
Is Qadar Badla Zmana, Log Shashdar Reh Gaye

Hm Bhala Kis Se Kahein Mehrumion Ki Dastan?
Tishna Lub Hm Hi Nahi, Pyasy Smundr Reh Gye

Zeest Ki Sachaiyon Ka Zehr Pi Jany K Baad
Talkhion K Zaiqy Meri Zubaan Pr Reh Gye

Jany Kesy Log Thay Jo Naqsh-e-Daaim ban Gye
Aankh Se Ojhal Huay Pr, Dil K Andar Reh Gye

Haadson Ne Is Qadar Sb Se Gureizaan Kr Dia
Tujh Se Kya, Hm Khud Se B Aksar Ulajh Kr Reh Gaye..!


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more ghazal sms.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari